Friday, March 28, 2008

Laija Udaake, Laija Churaake

Laija Udaake, Laija Churaake
Movie : Rama Rama Kya Hai Dramaaa
Singer: Khushboo Jain
music Director: Siddharth Suhas
Lyricist: Kumaar

song:

(laija udaake, laija churaake - 2
ya pyaar ke sab gehne pehnaake, dil mein bithaake
mujhe ghar laija laija re, mujhe ghar laija laija - 4) - 2

dil tear hai teri jaan ho gayi, meri taraf se toh haan ho gayi
maangu main teri hi manjooriyaan, ab mit jaane de yeh duriyaan
najdik aake, najdik aake, nazarein ladaake
jitne hai saare jaadu chalaake, dil mein bithaake
mujhe ghar laija laija re, mujhe ghar laija laija - 4

aanchal mera thaamle tu jara, yeh terehi pyaar se hai bhara
tujhme base mere saare jahaan, tere siva ab main jaau kahaan
sabse chhupaake, sabse chhupaake, sabse bataake
ya phir yeh saari duniya bhulaake, dil mein bithaake
mujhe ghar laija laija re, mujhe ghar laija laija - 4
laija udaake, laija churaake - 2
ya pyaar ke sab gehne pehnaake, dil mein bithaake
mujhe ghar laija laija re, mujhe ghar laija laija - 4


Khwabon Se Nikal Ke Tu Aaja

Khwabon Se Nikal Ke Tu Aaja
Movie : Rama Rama Kya Hai Dramaaa
Singer: Alisha Chinai
Lyricist: Kumaar
music Director: Siddharth Suhas

song;

la la la la la la la la la la la la
khwabon se nikal ke tu aaja, haawaaon pe chal ke tu aaja
berang hai zindagaani, rangon mein dhal ke tu aaja
mujhe tera intezaar, mujhe tujhse hai pyaar - 2
tere liye bekraar dil hai mera
khwaabon se nikal ke tu aaja, haawaon pe chal ke tu aaja

jo tujhme kasish hai teri jaan mujhko kheeche
meri dhadkane bhi hai deewani tere peechhe
tere bin mere yaar jeene se hai inkaar - 2
tere liye bekraar dil hai mera
khwaabon se nikal ke tu aaja, haawaaon pe chal ke tu aaja

la la la la la la la la la la la la
tere justju mein din yeh beetein, raaat guzre
tere aarzoo ka yeh nasha na abb to utare
meri khwaaishe hazaar sabhi tujhepe nisaar - 2
tere liye bekraar dil hai mera
khwabon se nikal ke tu aaja, haawaaon pe chal ke tu aaja
berang hai zindagaani, rangon mein dhal ke tu aaja
mujhe tera intezaaar, mujhe tujhase hai pyaar - 2
tere liye bekraar dil hai mera
khwabon se nikal ke tu aaja, haawaaon pe chal ke tu aaja

Dekha Tujhe Sau Martaba

Dekha Tujhe Sau Martaba
Movie : Rama Rama Kya Hai Dramaaa
Singer: K.K.
Lyricist: Kumaar
music Director: Siddharth Suhas
song:

dekha tujhe sau martaba, phir bhi mera dil na bhara
maine jo khaab dekhe tere hi saath dekhe
haathon mein haath de de aa
meri jo jindagi hai abb teri ho gayi hai
tujhmein hi kho gayi hai aa

teri julfon hai kitne baadal chhupe
yeh jo lehraaye hone lagi barsaatein
sunta rehta hoon main sunke kehta hoon main
teri ghaamoshiyaan bhi karati hai kayi baatein
mausam badal rahein hain, tujhse nikal rahe hain
tujhme hi dhal rahein hain aa
tu hi toh chaandani hain, tujhmein jo roshani hain
subah usase bani hai aa

aasmaan se kabhi dekhle chaand bhi, toh woh taaron se taarife karta hai teri
tujhmein khushboo koi rehati hai har ghadi
tujhko chhu ke hi mehaki hai saansein meri
chehra jo modati hai, palkein jo odhati hai
dil kitne todati hai aa aa aa
dil ka jahaan de de, badale jaan le le
saare armaan le le aa

dekha tujhe sau martaba, phir bhi mera dil na bhara
maine jo khaab dekhe tere hi saath dekhe
haathon mein haath de de aa
meri jo jindagi hai abb teri ho gayi hai
tujhmein hi kho gayi hai aa

Yeh Faasle Har Lamha Tadpaaye

Yeh Faasle Har Lamha Tadpaaye
Movie : Rama Rama Kya Hai Dramaaa
Singer: Adnan Sami
Lyricist: Kumaar
music Director: Siddharth Suhas
song:

yeh faasle har lamha tadpaaye, din mein chubhe jine na de raat mein
yeh karwate lekar dil so jaaye, yaadein teri jaage mere saath mein
main kaise bataau, tanha ji na paau, tere bina o sanam o sanam - 2
yeh faasle har lamha tadpaaye, din mein chubhe jine na de raat mein

mausam mere berang hai, bahaare meri tere sang hai - 2
jism khaali pada hai, jina mushkil bada hai, tere bina o sanam o sanam
yeh faasle har lamha tadpaaye, din mein chubhe jine na de raat mein

baahein teri ghar tha mera, kitna hasin safar tha mera - 2
tu jo milati nahi thi, saans chalati nahi thi, tere bina (o sanam -2)
yeh faasle har lamha tadpaaye, din mein chubhe jine na de raat mein

woh bitein huye manjar sabhi hai thehre huye nazar mein abhi - 2
woh tera mujhse kehna, abb nahi mujhko rehna, tere bina (o sanam -2)
yeh faasle har lamha tadpaaye, din mein chubhe jine na de raat mein
yeh karwate lekar dil so jaaye, yaadein teri jaage mere saath mein