Wednesday, June 18, 2008

Jaana Hai Tujhako Piya Ke Angana

Jaana Hai Tujhako Piya Ke Angana
Movie : Mere Baap Pehle Aap
Singer(s): Alka Yagnik, Shaan
Music Director: Vidyasagar
Lyricist: Sameer
song:

jaana hai tujhako piya ke angana
sajaale bindiya sajaale kangana
(pi har se aayi purwaayi ki, baabul ki mehaki anganaayi ki
kehati hai gunj shehanaayi ki gori) - (2)
ho ho jaana hai tujhako piya ke angana
sajaale bindiya sajaale kangana

sun sun meri behana, kismat se hi maina aati hai aisi ghadiya
chun chun ke hai milati, mushkil se hai khilati cheharewaali ladiya
sawar le, nikhar le, na hamse laaj kar
o banno o laado tu khud peh naaj kar
tere mann bhaaye sada, tujhko lubhaaye sada, tera ban ja sajana
(pi har se aayi purwaayi ki, baabul ki mehaki anganaayi ki
kehati hai gunj shehanaayi ki gori) - (2)
ho ho jaana hai tujhako piya ke angana

tai tum tai tum tai, tai tum tai tum tai tum tum.......
???
tai tum tai tum tai, tai tum tai tum tai tum tum.......
dil dil mil jaate hai, milake kareeb aate hai
saagaro se milati nadiya
na tan se, na mann se, na toh kisi badhan se
pyaar se judi hai sadiya
kabhi bhi na chhute yeh dhaaga preet ka
na chhute yeh daaman kisi bhi meet ka
tujhape bhi, mujhape bhi chaaye bas prem rang
chaaye koi duja rang na
(pi har se aayi purwaayi ki, baabul ki mehaki anganaayi ki
kehati hai gunj shehanaayi ki gori) - (2)
ho ho jaana hai tujhako ha piya ke angana
sajaale bindiya sajaale kangana

Ishq Subhaan Allah










Ishq Subhaan Allah
Movie : Mere Baap Pehle Aap
Singer(s): Alisha Chinai, Neeraj, Bob
Music Director: Vidyasagar
Lyricist: Sameer

song:

(its love, o baby that the wonderful
its love, love beautiful
its love, gonaa baby move ur world
its love.....

(ove is gonna take you higher
its gonna set you high on ??) - (2)
its love.....

subhaan allah, subhaan allah, subhaan allah, subhaan allah
(ishq subhaan allah, love is gonna take you higher
ishq subhaan allah, its gonna set you high on ??) - (2)
ishq hai ek haqiqat, ishq hai ek ibaadat
ishq dilon ki jarurat, yeh baat hai sach wallah
ishq subhaan allah, love is gonna take you higher
ishq subhaan allah, its gonna set you high on ??
ishq hai ek haqiqat, ishq hai ek ibaadat
ishq dilon ki jarurat, yeh baat hai sach wallah
subhaan allah, subhaan allah, subhaan allah, subhaan allah

udaya meri nindon ko udaaya, jagaaya mera dard-e-dil jagaaya
deewaana hamein ishq ne banaaya, chaino sukun loota
tera hi jaadu teri hi khushbu, khayalon mein hai tu hai tu hai baby
(ishq subhaan allah, love is gonna take you higher
ishq subhaan allah, its gonna set you high on ??) - (2)

its love, o baby that the wonderful
its love, love beautiful
its love, gonaa baby move ur world
its love, come on now come on get it girl
fasaana kuchh bhi kaha na jaaye, akele abb toh raha na jaaye
jaha ko hum ishq mein bhulaaye, pal pal surur chaaya
kasak jaagi lagan laagi, koyi na jaane haal apana baby
ishq subhaan allah, love is gonna take you higher
ishq subhaan allah, its gonna set you ??
ishq hai ek haqiqat, ishq hai ek ibaadat
ishq dilon ki jarurat, yeh baat hai sach wallah
subhaan allah, subhaan allah, subhaan allah, subhaan allah
(ishq subhaan allah, love is gonna take you higher
ishq subhaan allah, its gonna set you high on ??) - (2)

Tuesday, June 17, 2008

Shamma Shamma Jale

shamma shamma jale, guncha guncha pale
Movie : Mere Baap Pehle Aap

Singer: Sunidhi Chauhan

Music Director: Vidyasagar

Lyricist: Sameer

SONG:
shamma shamma jale, guncha guncha pale

shamma shamma jale, guncha guncha pale
sau?? saalon mein, sau paimaano mein, sau rangon mein dhale - (2)
(mera toh charcha hai yahaan wahaan
mera toh aashiq hai saara jahaan) - (2)
woh mujhko chaahe yeh mujhko chaahe, main hoon kawaari kali - (2)
khalibali, khalibali, khalibali, khalibali..... (say it again)

mera mera mera mera, nasha nasha nasha nasha
mera mera mera mera aisa nasha
oy bacha bacha bacha bacha, koi nahi bacha bacha
koi nahi koi nahi mujhase bacha
chaahe deewaano ki najar ho, parwaano ka jigar ho
woh mujhko chaahe yeh mujhko chaahe, main hoon kawaari kali
khalibali, khalibali, khalibali, khalibali....
shamma shamma jale, guncha guncha pale - (2)

kabhi kabhi naram naram, kabhi kabhi garam garam
kabhi kabhi cool cool rehati hoon main
jara jara sard sard, jara jara jard jard
jara jara tej tej behati hoon main
woh chaahe dilbar ho ya diljala ho
woh chaahe mastaana manchala ho
woh mujhko chaahe yeh mujhko chaahe, main hoon kawaari kali
khalibali, khalibali, khalibali, khalibali....

O Mere Baap Pehle Aap

O Mere Baap Pehle Aap
Movie : Mere Baap Pehle Aap
Singer(s): Sangeet Haldipur
Music Director(s): Vidyasagar
Lyricist(s): Sameer

song:

yeah ha o ho.......
o mere baap pehle aap - (2)
batau tumhe main bhala kaise, karo na jid na karo aise - (2)
maan lo baat, maan lo, maan lo - (4)
o mere baap pehle aap - (2)

(ghodi pe chadhake jaaunga, sehra bhi sar pe sajaaunga
waada hai tumse waada hai, dulhan bhi saath le aaunga) - (2)
lekin meri baaton ka, tum samajho pehala ishaara - (2)
aise na karo kinara, tum samajho pehala ishaara
aise na karo kinara
batau tumhe main bhala kaise, karo na jid na karo aise - (2)
maan lo baat, maan lo, maan lo - (2)
o mere baap pehle aap.... - (2)

meri biwi jab aayegi, woh mujhko uda le jaayegi
main laakh use samjhaaunga, woh ek samajh na paayegi
iss umar mein mujhase jyaada, (shaadi ki tumhe hai jarurat - 2)
dekho jaldi se mahurat, shaadi ki tumhe hai jarurat
dekho jaldi se mahurat
batau tumhe main bhala kaise, karo na jid na karo aise - (2)
maan lo baat, maan lo, maan lo - (3)
o mere baap........

Maine Hawa Ke Paron Pe Likha Hai

Maine Hawa Ke Paron Pe Likha Hai
Movie : Mere Baap Pehle Aap
Singer(s): Shreya Ghoshal, Udit Narayan/Shaan
Music Director: Vidyasagar
Lyricist: Sameer

song:

maine hawa ke paron pe likha hai, deewaane dil ka fasaana
tune padha ke nahi jaane jaana, milake mujhe batlaana
phulon mein taaron mein, saare najaaron mein
aankhon ne dekha hai chehara tera
maine hawa ke paron pe likha hai, deewaane dil ka fasaana
tune padha ke nahi jaane jaana, milake mujhe batlaana

maine khayaalon ka jaha basaaya, raaton ko khaabon mein tujhe chhupaya
mann ke daricho mein tujhe sajaaya, jaane tu jaane na ho o o o
yaadon ki maine tasvir banaayi, tujhase kahi na har baat chhupaayi
sehati rahi chup chaap judaayi, maane tu maane na
tere hi chaanv ki khili khili khili hai chaandani
tere shabaab ki saji saji saji hai raagini
kya karu, kya karu jine na deti hai teri ada
maine hawa ke paron pe likha hai, deewaane dil ka fasaana
tune padha ke nahi jaane jaana, milake mujhe batlaana

itani haseen kaaynaat hogi, jasbaaton ki barsaat hogi
socha nahi tha mulaakaat hogi, maine toh jaane jaan
masti mein duba hai sama sharaabi, hone laga aalam gulaabi
aaye na chain kahin jara bhi, behake mere armaan
raha kareeb bhi jara jara jarasa faasala
na tuta tutake jara jara jarasa silsila
aa gaye paas hum, saanson mein mehaki hai teri wafa
maine hawa ke paron pe likha hai, deewaane dil ka fasaana
tune padha ke nahi jaane jaana, milake mujhe batlaana
phulon mein taaron mein, saare najaaron mein
aankhon ne dekha hai chehara tera
ha ha aa aa aa ha ha ha la la